۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔Badlay Lagte Hain Tevar Fizaon Ke۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔
Phir se shuru ho gayi jang jhooti ana ki
Mitne ke bohot qareeb hai har qadar yahan wafa ki
Apni apni leadri chamkanay ka waqt hua chahta hai
Ek doosre pe ilzam laganay ka waqt hua chahta hai
Sarpat daur rahe hain yahan ghoday anaon ke
Badlay badlay se lagte hain tevar sab fizaon ke
Mujhe yun lagta hai, bikhairay hone wale hain
Tukray is wahdat ke bathray hone wale hain
Yeh sab aapas mein tu-tu aur main-main ki takraar
Shuru hone ko hai subah shaam din raat baar baar
In sab ko to aapas mein uljhaaya jane wala hai
Inhein asal maqsad se door hataaya jane wala hai
Yeh leadran committee ittehad se agar kat gaye to
Sab juda juda tukdiyon mein agar bat gaye to
Phir sab kuch bana banaya apna yeh kho denge
Barson ki jehd ko ab gutter se dho denge
Phir inka na koi bhi parsan-e-haal ho ga
Kamar se zara neeche wala hissa laal ho ga
Mili hui khatam ho jayengi mara’aat saari
Qaim ho jayegi phir se sabiq ijara daari
Khokhle nare bhi marne diye na jayenge
Ittehad ko na manane wale zillat bohot uthayenge
~ Ilyas Jandalvi ~
📢 Join our WhatsApp Channel for the latest news and updates: Click Here