Yeh December hai, magar qissa badal chuka,
Ishq ke khwabon ka charagh bujh chuka.
Naujawan jo kabhi ghazlein sunate the,
Ab huqooq ki dehai lagate hain.
Mahboob ke tazkire kahin gum ho gaye,
Inqilab ke nare har soo bikhar gaye.
Woh jo honton pe mohabbat ke geet late the,
Ab insaaf ke maidan sajate hain.
Qalam jo kabhi gulaab ke liye uthte the,
Ab baghawat ke ash’aar likhte hain.
Yeh December hai, jahan sard hawaien chalti hain,
Magar dilon mein azadi ki garmi palti hai.
Yeh mausam hai huqooq ke sawalon ka,
Yeh waqt hai zanjeeron ke dhamakon ka.
December ne sikhaya ishq ki haqeeqat,
Ke sab se bara ishq hai zulm ki mukhalifat.
Yeh naujawan, jo kabhi khwab dekhte the,
Ab taqdeer badalne ka hosla rakhte hain.
December gawah hai is shuoor ka,
Yeh inqilab hai, ishq ke dastoor ka.
📢 Join our WhatsApp Channel for the latest news and updates: Click Here