Qabza: Meri Dharti, Meri Pehchaan Aur Mere Jazbaat ka Naghma

Date:

Share post:

Ab hone laga sair gahoon pe qabza
Mere dais ki nigahoon pe qabza
Na mandir na masjid bacha paya main
Ho gaya phir ibadat gahoon pe qabza

Munafiq ne cheeni hai meri basarat
Mere chehre aur nigahoon pe qabza
Kahan sukoon paoon ga thak haar ke main
Meri dharti maa ki baahon pe qabza

Jo kholoon laboon ko to dil cheer jaye
Magar kya usne meri aahoon pe qabza
Yeh qabza hai bhai mashq ke bahane
Meri chotiyaan khanqaahoon pe qabza

Munafiq ne kafir se saaz baaz kar li
Karo banam mazhab charah gahoon pe qabza

M. Kamran Hameed 2024

Sign Up For the Latest News Alert!

This field is required.

We don’t spam! Read our privacy policy for more info.

📢 Join our WhatsApp Channel for the latest news and updates: Click Here

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

Advertisement

Related articles

December Ki Gawahi

Yeh December hai, magar qissa badal chuka, Ishq ke khwabon ka charagh bujh chuka. Naujawan jo kabhi ghazlein sunate the, Ab...

Kuch Bhi Na Haasil Ho Ga

۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔Kuch Bhi Na Haasil Ho Ga۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ Lagta hai paanch December ko yahan bara dangal ho ga Har sheher khaufnaak haalat...

Kashmir Ka Khudmukhtar Sapna

Kashmir Ka Khudmukhtar Sapna Jahan ke har kone mein goonj uthi sada, Azadi ka josh hai, mohabbat ki dua. Har shaakh...

Kashmir Banay Ga Khudmukhtar

Kashmir Banay Ga Khudmukhtar Hawaon mein goonj raha hai yeh naara, Kashmir banay ga khudmukhtar dobara. Zameen ka har zarra gawahi...